Hussaini Langar 1444/2023

S/W Janab sabse pehle to me aap tamam logo ka bahot bahot shukar guzar hu k aap sabhi logo ki wajah se aaj ka Hussaini langar bahot kamyab hua masallah soch se zeyada kamyab hoa or Bahot logo ne Husaini langar me shirkat ki or apna qeemti time diya or Hussaini langar ko kamyab banaya khas tor se me un logo ka shukriya Ada karta hu jinhone apni khidmat se logo ko sabze pure or halva taqseem kiya or hamari sarparasti ki allah ka bahot shukr hai k sath khairiyat k Husaini langar itna kaam yab raha aaj bad namaze Juma langar start hua or Sham lagbhag 6 ya 6.15 baje tak langar chala or koi 4 ya 4.5 Hazar logo ne Husaini langar me khana khaya me apne un sabhi logo ka dil ki gehraiyo se shukriya ada karta hu Jo musalsal Amroha foundation ki Madad karte hain Agar ye log Amroha foundation ki madad nhi karte to ham log kuch bhi nhi kar sakte hai

Aap tamam logo ko ek baat or batata chalu k ham log A one tent wale janab nishane Haider Nishi or janab afaq Haider pappan sb k bahot shukrguzar hai k wo ham se tent ke saman ka kiraya nhi lete hai ham unke liye allah se dua karte hai k allah un ko or kamyabi de Ameen
Note
Allah se dua hai ka ham sab logo ise tarha mil kar sare kaam karte rahe Ameen kyoki sath me kaam karne me bahot taqt hote hai aap sabhi logo ka sath hamara leya bahot zaruri hai aap log hamare himmat hai or is ki hame bahot zarurat hai shukriya
Farman Haider Naqvi

President

Amroha foundation and Hussaini langar

https://fb.watch/jwqvou-G5F/?mibextid=6aamW6